"SURAEY KAUTHAR" EIK ZINDA MOAJEZA Yeh Sura, Quran ka eik aisa zinda moajeza hai jiska inkaar khud musalmaanoN ki eik baRi...
"SURAEY KAUTHAR" EIK ZINDA MOAJEZA
Yeh Sura, Quran ka eik aisa zinda moajeza hai jiska inkaar khud musalmaanoN ki eik
baRi jamaat kar rahi hai, sirf Kausar ke lughvi maani ko ikhteyaar na karte huEy.
Huzoor (SAWAW) ne Imam Hasan (as) aur Imam Hussain (as) ko apna farzand kaha hai,
aur aapki nasl inhi donoN se parwaan cHaRhi hai jo Saadaat kahlaati hai.
Aaj ruue zameen par jitne bhi Alwi, Hasani, Hussaini, Abdi, Zaidi, Baqri, Jafri, Moosavi,
Kazmi, Rizvi, Taqavi aur Naqavi aabaad haiN woh sab Saadaat meiN shamil haiN.
Aaj duniya ka koi khitta aisa nahiN hai jahaN Saadaat na hoN.
Meira daawa hai ki duniya ke kisi mazhab ke peishwaaoN ya unke pairaukaaroN meiN
se kisi bhi shakhs ki zurriyat meiN itne ashkaas nahiN mil sakte.
Aaj zaroorat iss baat ki hai ke Kausar ka matlab Kaseer ya kasrat liya jaaey, aur
dankEy ki choat par aqwaam'e aalam ke saamne Quran ki haqqaaniyat ko iss zinda moajeze
ke saath peish kiya jaaey.
SURAEY KAUTHAR KI TAFSEER
Marmaduke Pickthall ka English Translation:
1. Lo! We have given thee Abundance:
2. So pray unto thy Lord, and sacrifice.
3. Lo! It is thy insulter (and not thou) who is without posterity.
Maulana Fateh Mohammed Jalandhari Sahab ka Urdu tarjuma:
"(Aey Mohammed) Hum ne tumko Kauthar ataa farmaai hai.
To apne Parwardegaar ke liye Namaz paRha karo aur qurbaani kiya karo.
Kuch shak nahiN ke tumhara dushman hi be_aulaad raheiga."
Maulana Fateh Mohammed Jalandhari Sahab ki tafseer:
Bahot si hadeeseiN haiN jinse saabit hota hai ke Kauthar behisht ki
eik naher ka naam hai jo Hazrat (sawaw) ko ataa huii hai.
Hazrat Anas se rawayat hai ke AaNHazrat (sawaw) ko ooNgh aa gai, phir
sar uthakar tabassum farmaaya aur tabassum ki yeh wajah bayaan farmaai
ke abhi mujhpar eik surat naazil hui hai, aur phir yeh surat paRhi aur
farmaaya ke tum jaante ho ke Kauthar kya cheez hai. Sahaba ne arz kiya ke Khuda
aur Rasool hi jaaneiN, farmaaya woh eik naher hai jo Khuda ne mujhko Behisht meiN
di hai, ussmeiN khair'e katheer hai.
Lughat meiN Kauthar, khair'e katheer ko kahte haiN. ChuNke sharaii maana
lughvi maanoN par muqaddam hotEy haiN iss liye hUmne Kauther ke lughvi
maana tarjume meiN ekhtiyaar nahiN kiye.
Maulana Syed Ali Naqi Naqvi Sahab ka Urdu tarjuma:
" Humney to aapko kasratey nasl ataa ki hai, to aap apne Parwardegaar
ke liye Namaz paRhte rahiye aur qurbani karte rahiye. Yaqeenan aapka
dushman hi be_aulaad hoga "
Maulana Syed Ali Naqi Naqvi Sahab ki tafseer:
"Kauthar ke liye chooNke rawaayaat meiN hai ke yeh Jannat ki eik baRi naher hai
Meiraaj meiN Rasool (sawaw) ko dikhaai bhi gai thi aur musalmaanoN meiN bhi
Kauthar ka charcha bahot hai aur Kauthar se seiraabi ka shauq hai iss liye
pahli aayat meiN jo Kauthar ki ataa ka eilaan hua hai, uski tafseer ke liye usi
ke mutaabiq yeh rawaayat aa gai aur yeh sHohrat ho gaii ke yeh usi naher ke ataa
honEy ka eilaan hai. Lekin haqeeqat meiN yeh Kausar ki ataa ka eilaan
muqaabil meiN dushmanoN ki zabaan se nikli hui lafz ABTAR se hai,
jisko Khuda wande Aalam ne khud unke liye dohraaya hai. Iss liye Kausar ke maani
usi Abtar ki munasebat se aur uske taqaabul ke saath leina cHahiye jiska iss lafz
ke saath joaR ho jo Hazrat ke liye unhoN ne istemaal ki thi. JahaN tak hUm ghaur
karte haiN Kausar jo naher hai, uska koi joaR uss Abtar se nahiN hota jo woh
Rasool (sawaw) ke liye kahte thEy.
Abtar ki lafz Batar se hai jiske maani qataa honEy yaani katney ke haiN."
Courtsy Mirza Jamal