PAIGHAMBER'E ISLAM (sawaw) KI WILAADAT Jab wafaat'e Paighamber (sawaw) ki taareekh musalmaanoN mein muttafiq alaih na rah sak...
PAIGHAMBER'E ISLAM (sawaw) KI WILAADAT
Jab wafaat'e Paighamber (sawaw) ki taareekh musalmaanoN mein muttafiq alaih na rah saki
to wilaadat ki taareekh meiN ikhtelaaf hona kaun sa ta'ajjub kheiz hai. Ghanimat yeh hai ke
maheena muttafeq alaih hai, yaani Rabiul Awwal. Magar iss mahine meiN kis din Hazrat (sawaw)
mutawalled huEy, iss baare meiN Ahle Sunnat meiN muta'added qaul haiN. Doosri, AathweeN,
DasweeN aur zyaada mashoor BaarhweeN taareekh hai. Ulemaaey Imaamia mein Kalini bhi
Baarhween ke qaael haiN, lekin zyaada tar ulemaaey Shia 17 Rabiul Awwal ko wilaadat maante
haiN. ChooNke iss firqe ka daar o madaar Ahle Baite Rasool (sawaw) par hai iss liye unka iss
taareekh par qareeban muttafiq hona iss ka pata deita hai ke Ahle Bait (as) se unko yehi ilm
haasil hua tha, aur zaahir hai ke ghar ki baat meiN ghar waaloN se zyaada kiska bayaan
moatabar samjha ja sakta hai.
Arab meiN shaher ke maahaul ko zubaan ke kharaab honEy ka zimmedaar samjha jaata haiiss
liye bachchoN ko zamaanaey reza'at hi meiN baadiya nasheen ArboN meiN bheij diya jaata tha,
jinke baarey meiN yeh amr musallam tha ke unki zubaan apni asli fasaahat par baaqi hai.
Chunaanche Hazrat (sawaw) ke liye bhi paidaaesh ke baad aisa hi intezaam kiya gaya tha,
aur qabeelaey Bani Saad ki eik khaatoon Haleema Bint'e Abdullah aapki marzeaa muqarrar
hueeN.
"Padar'e buzurgwaar ka saaya to pahle hi uth chuka tha. ^ baras ka sinn tha ke aapki waaleda
bhi duniya se rukhsat ho gaiiN. Woh aapko leikar Madeena apne maike waaloN se milne gaii theeN,
waapsi meiN beemaar hueeN aur maqaam'e Abwaa par inteqaal kiya." (Tabqaat Ibne Saad)
Baap aur maan donoN ka saaya sar se uthne ke baad Hazrat Mohammed'e mustafa (sawaw)
ki tarbiyat ke kafeel aapke jadd'e buzurgwaar janaab'e Abdul Muttalib huEy aur iss fareeze ko
ba_ehtemaam tamaam anjaam deite rahe, aisi mohabbat aur tawajjo ke saath ke jis se khud unki
aulaad bhi iss darje par bahrawar na ho saki
"Abdul Muttalib ki aaNkhein bachpan hi mein aapki azmat o jalaalat ka andaaza kar rahi thiiN.
Chunaanche unke liye jo masnad Kaba ke paas bichaai jaati thi uspar unki adam maujoodgi mein
unke sahabzaadoN mein se kisi kisi ki majaal na thi ke baith jaaey, magar Rasool (sawaw) apne
usi bachpane ke aalam meiN aate thEy to be_takalluf uss masnad par baith jaate thEy aur
Abdul Muttalib deikh leite thEy to farmaate thEy ke meire bachche ko yaheen baithne dO.
Ba_khuda iski baRi shaan hai jo zaahi hokar raheigi." ( Ibne Hesham Jild - 1 / safha 108)
Hazrat Mohammed (sawaw) ki umr 8 baras ki thi ke aapke buzurg martaba aur intehaai shafeeq
daada ka saaya bhi sar se uth gaya.
Waqt'e qafaat apne farzand Hazrat Abu Talib ko jo Paighambare Islam ke haqeeqi chacha thEy,
aapki tarbiyat ke liye waseeyat ki. HaalaaNke woh aapki aulad mein na tO sin meiN sab se
buzurg thEy aur na woh daulat mand hi thEy. Abdul Muttalib ne iss khidmat ke liye unhiN ko
muntakhab kiya. Mumkin hai iski wajah yeh ho ke Paighamber'e Islam (sawaw) ke waalid'e
buzurgwar Abdullah se unheiN intehaai mohabbat thi. Abu Talib (as) ne jis shafaqat wa
mohabbat se Rasool Allah (sawaw0 ki parwarish ki hai, woh tareekh ki eik muttafeq alaih aur
misaali haqeeqat hai. Aasaar ke mushahede se yeh amr numaayaN tha ke jaisi mohabbat
unheiN Rasool Allah se hai woh apni aulad se bhi nahiN hai.
Tareekh'e Islam / Jild 1 / Safha 40 se 44 / Maulana Syed Ali Naqi Naqvi Marhoom
Ex Dean, Shobaey Deeniyaat, Muslim University, Aligarh.