Demolition Of Jannatul Baqi 8th Shawwal, Wednesday, in the year 1345 AH (April 21, 1925), mausoleums in Jannatul al-Baqi (Madina) were ...
Demolition Of Jannatul Baqi 8th Shawwal, Wednesday, in the year 1345 AH (April 21, 1925), mausoleums in Jannatul al-Baqi (Madina) were demolished by King Ibn Saud. We send our condolences to our twelfth IMAM, IMAM MOHAMMAD AL-MAHDI (A.T.F.S), our great Ulama, and to the Muslim world on the Tragedy of Al-Baqi', the day that Abdul Aziz Aal S'aud, one of the kings of Saudi Arabia that agreed and helped the Wahabbis to demolish the holy shrines in Jannat-ul-Baqi'
8th shawwal (Yaum-e-gham) is a sad day for all the shias.
Jaan-e-Nabi wa Khasaye Dawar hai Fatima
kuch shak nahi shafia-e-mehshar hai Fatima
Sibtaian-e-Zeevakhar ki maadar hai Fatima
Afsoos aaj bekaso bepar hai Fatima
Jannat me chain hoyega kyon kar Rasool ko
Thuda hai najdiyoun ne Mazare Batool Ko
Din aaj hi ka tha ye qayamath hui bapa
Tareeq atwi thi mahina yehi thu tha
Aada ne thod diya lahade Binte Mustafa
hayrath hai kyun Jahan me na mehshar hua bapa
Naazil azaab in pe Ilaahi sitaab ho
Be deen khoum-e-najd ka khana kharaab ho
Zinda rahi to baap ko rone nahi diya
Mehroom jaayedaad-e-Mohammad se kar diya
Darwaaze ko giraya tho Mohsin ne ki khaza
Pehlu shikasta ho gaya zulm aysa khuch kiya
Raahat na di hayaat me Binte Rasool ko
Mismaar aaj kar diya Khabre Batool ko
Kis mo se ye kahoun ke miti khabre Syeeda
toodi gayi Mzaare Hasan wa museebata
Zainul Abideen, Baqar-o-Jafar ki khabr ka
hai hai nishaan bi koyi baqi nahi raha
Is zulm ki nazeer tho ye asmaan nahi
Sadaat ki bi khabroun ka naam-o-nishaan nahi
-------------------------------------------------------------------------------------
Nowha --- Mismaar - e - Jannatul Baqee. 8th Shawwal
------------------------------------------------------------------------------
Qabre Zahra Ko Baqee me Na Mitaate Zalim
Aaj Ahmed Ko Lahad me Na Rulaate Zalim
Turbate Baaqaro Jaafar Ho Ya Sajjado Hassan
Todkar Unpe Museebat Ko Na Dhaate Zalim
Laanati Tha Jo Sawood Jisne Kiya Tha ye Gazab
Wo Na Kahta To, Na Rowzon ko Giraate Zalim
Gumzada Aaj bhi Gaibat me hain Aqa Apne
Unke Aankhon se Lahu Ko Na Bahaate Zalim
Aat Shawwaal Ka Din Gum me Badalta Na Kabhi
Karke Mismaar Na Qabron Ko Mitaate Zalim
Jo bhi Zawwaar Ziyaarat Ko Baqee Jaate hain
Aaj bhi Unko Usee Tarha Sataate Zalim
Qouf Allaho Nabi Ka Unhen Hota Jo Agar
Karbala me Na Lahu Shah ka Bahaate Zalim
Rahm Hota Jo Agar Dil me Zara sa Unke
Qatra Paani Ali Asgar Ko Pilaate Zalim
Chaadaren Cheenke Saidaniyon ki Baade Hussain
Shaamo Kufa me Na Be Parda Phiraate Zalim
Girte Girte Huve Aasu bhi Bober Kahte hain
Haye Aulaade Ali Ko Na Sataate Zalim
Author Name : Bobber Ali Khan(India/Chennai/Royapettah)
E-@ : bobber@gscco-sa.com
Iitemas-e-dua
Bober Nawab
S/o Ghulam Abbas ( Marhoom )
Note: All the graves of companions and Ahlebait used to have beautiful Tombs on them. After Wahabi revolution in Saudi Arabia all the shrines and tombs were demolished and graves were leveled. Now, identification of various graves is only possible through old graveyard maps and documents.